
YAHI MANTR JAPNA
Tu firse aake mere saath chal thaamke haanth
mera,
Par isbaar aakhri dam tak dena hamdam
saath mera.
Ham jo hasenge to hasne lagegi hamari saari
duniya,
Ham kabhi kafa na honge kyunki kafa ho
jayegi ye duniya.
Main kahata hoon ab chor ke apni duniya
thaam lo haanth mera,
Chaahe kitni bhi mushkilen ho fir kabhi na
chorna saath mera.
Hamari sab wafaawon ka tum khayaal karke
sila de dena,
Jab bhi ham ek dooje ko pukaren dil ki awaaz
sun lena,
Is baar har kadam saath dena thaam ke
haanth mera.
Himmat sada rakhna dil mein kabhi chorna
na saath mera,
Jabse tum nahin ho badi sooni lagti hai yeh
duniya.
Laut kar aajaawo aur chalo saath to aabaad
hogi yeh duniya,
Har kadam par har pahelo mein aur jeewan
bhar saath dena,
Mere pyaar ke hamdam is baar tum sada
mera saath dena.
Tu firse aake mere saath saath chal thaamke
haanth mera,
Lakhan tere intzaar mein saari umar bita dega
apna,
Jab tak meri hamdam na mil jaye mujhe yahi
mantr japna.
@
Aadhi raat ko jaag kar unko hi yaad karte
hain,
Wo saath nahin hain jinhe ham pyaar karte
hain.
Unke bina ab jina bahut dushwaar ho gayi
hain,
Yahi lagta hai jeekar ham bada gunah karte
hain.
TERI KHAYR NAHIN
Aag hamko roshni deti hai aur jalna is jameen
ko padta hai
Mohabbat meri nigahon ne ki thi par ab
tadpna is dil ko padta hai
Likh raha hoon main tere isq ki kitaab baith
kar yahin
Ban gaya lekhkhak to pyaar karne waalon ki
khayr nahin.