
BAAKI HAI WO EHSAAS
Bahut ummeed rakhte the par tumhare jaane
ke baad be-ass ho gaye,
Ab apne mann ko samjha ke maar diya hai
aur bahut ahaas ho gaye.
Ab jab sunta hoon ek kaan se aur dusare se
nikaal fenkata hoon,
Sab ki baaten bahut dukh deti hai jab sajani
ko yaad karta hoon.
Bichhad gaye hain ham dono jo aadhi sadi se
saath saath rahte hain,
Par ab itna hi kaafi hai ki unke madhur
yaadon mein ham rahte hain.
Yoon to ab mujhe apne is foote takdeer par
bahut bharosa nahin hai,
Ganimat hai ki mere mukaddar mein kuchh
pyaar abhi bhi bacha hai.
Ab hamara chehra latak jaata hai apne har
maatam ko dekh kar,
Yeh haalaat hamko deta hai bahut dard jigar
mein sama kar.
Jalaye rakkhenge apne dil mein unke pyar ki
us shamma ko
Baaki hai abhi bhi mera wo ehsaas jo jalate
hain mere is dil ko.
@