
MUMKIN HAI AASAAN
NAHIN
Yeh maana ki aap hamare saath nahin chalo
koi baat nahin,
Aap ki swarg niwaas shubh ho yeh mere bas
ki baat nahin.
Aajkal sab kuchh sahna kuchh na kahana
bahut mushkil hai,
Aapse bichhad ke yahan jinda rahana ab
kitna mushlik hai.
Is dil ka sheesha toot gaya waqt bhi hamse
rooth gaya hai,
Jis raah par ham saath chale the wo raasta
badal gaya hai.
Unhi rahon mein main tanha hoon chalna bhi
mushkil hai,
Jamaana hamse door hua hai kisi ko
pehchaanna mushkil hai.
Mere kadmon mein waqt chalta hai ab wayse
haalaat nahin,
Sab hai gawara mujhko par tumse door
rahana sahana nahin.
Lakhan yahan chahe kitna raahe badle koi
rah aasaan nahin,
Is pyaar ko mitaana mumkin nahin ye sadion
se hai kal se nahin.
Yeh dil bhi tumhara hai jaanum yeh jaan bhi
tumhara hai,
Tumse bichhad ke jinda rahna mumkin hai
aasaan nahin hai.
@
Ab meri is doobi huyi naiya ka kinaara ho
tum
Ab mere is jindagi ka aakhari anjaam ho
tum
Yun toh har mushkil ko paar karne ki
himmat hai mujh mein
Kyun ki agle janam ki meri wo priyetam
ho tum.
