
Sab Bahaaren Khatam Huyi
Hichkiyaan aati hain jab bhi hamare raaje ulfat ki baat hoti hai
Aa jaati hai jubaan par dil ki baat jab unki yaad aati hai
Sara jamana bade shaok se sun raha tha hamari prem kahani ko
Ab meri sajani hi so gayi hai koi bacha nahi daastan kahne ko
Apne gulshan ke taraf munh kiye baytha hoon ek bharosa ko liye
Shayad meri sajani ek gulab ban ke phir khil jaye mere liye
Ab main un se agar kahoon bhi toh kya kahoon kayse kahoon pata nahin
Unko toh maloom hai kya beetati hai mujh pe unse kuchh chhipa nahin
Ab ghut ghut ke na marey to kya karey koi batlade is deewane ko
Main toh waysa badnaseeb ho gaya hoon jiska ab koi aasara na ho
Ab har roj bas ek hi rang rahta hai unse milne ka intzaar hai
Wo aaye na aaye par aankhe uthi jidhar bas udhar hi dekhte rahte hai
Lakhan apne Saroj ki yaad mein sab baharon ko khatam kar diya hai
Ab uske chaman ka koi nasheman bane ya na bane wo maan liya hai