
Mere Phool Ko Todd Diya Hai
Bahut hi sunahare din bita kar jisko apna banaya tha
Mit gaya wo bhi sundar sapna jo khule aankhon se dekhta tha
Ek toote huye dil ke kissey kis ke paas nahin hote hain yaro
Haan aysa hota hai ki wo sab se bayaan nahin kiye jaate hain yaro
Unka daaman chhuta toh mano khanjar chal gayi mere dil par
Main jeeta toh hoon lekin meri neend udd gai hain unke mazar par
Mohabbat karne wale hain is liye kuchh bhi kah nahin saktey hain
Unka haanth mere honthon par hota hai jab bhi fariyaad kartey hain
Ek jo pyaar ka aashiyan tha ab jal kar benishan ho gaya hai
Wo kaun si bijli thi jis se mera sab kuchh bikhar gaya hai
Ab nikalne laga hai ye dil mere kambakht aansuwon ke saath
Kis ne ulat diya hai Lakhan ki chalti gaadi chheen liya hai mera saath
Jis baagbaan mein meri sajani thi usi ko ab ujjaad diya hai
Jis phool pe bepanah bharosa tha usi ko todd ke phenk diya hai
