
SEARCH FOR MY CHULBULI CHIDIYA
Hamne kabhi na socha, na samjha tha ki ek din aysa bhi aayega
Jab mujhe hansne ko log kahenge toh mujh ko bas rona aajayega
Ab jab mera bas chale toh main khud ko khud se chhupa kar rah loon
Ajeeb yeh jeewan hai aytwaar apna karoon ya phir unka kar loon
Na main khush na wo khush yahan kaon hai mere niraas jindgi se khush
Magar ab kahan hai fursat mujhe sar utha ke chalna aur rahna khush
Ham yeh jaante thea ki ek roj meri jaan ko jaana toh jarur tha
Phir kyun ab bilakh rahe hain jab apne pyar par itna gurur tha
Is duniya ki tarakki yahan ki rahen sahen bade ajeeb lagte hain
Insaan ke kabje mein sab kuchh hai toh unke dilwar kyun bichhadte hain
Pyaar ke ghazal main ne cheddi thi unko jeewan mein mera saath dena tha
Jab madhur sangeet ki lutf aane lagi kya tabhi unko jana tha
Kudrat ne Lakhan ko nakamil kar diya uska dil nikaal ke
Saroj jeeti rahti tab kuchh sukoon to deti apne sewa nihaal se
Ab na rahi hai baans aur na bajegi baansuri yeh ghar aagan udhas hai
Udd kar chali gai hai wo chulbuli chidiya ab uska talaas hai.

My Beloved Saroj would have turned 74 on 15th August 2013