
WHY WORRY
Yahan tadapta kyon hai Lakhan ab koi kamaal payda kar de
Jahan jahan tere asq girte ho wahan gulzar payda kar de
Kyon rota hai gidgidata hai apne bichade sanam ke liye
Wo sabhi kisse jhoothe hain unki jo ek baar mar ke jiye
Mera gham hai ya unka intzaar hai iska khud nahin pata
Dil to ab unke liye bekarar rahta, yahi hai meri khata
Lagana na dil phir kisi se Lakhan tootne se dard hota hai
Mohabbat aysi hi bala ko kahte hain pyaar mein aysa hi hota hai
Unka pata kisse poochhe jab meri manjil ka pata nahin
Kab tak ek musafir ki tarah bhatakte rahenge ham yahin
Aankhon hi aankhon mein wo kya kah gaye ab wo sab yaad aata hai
Apni hi khabar nahin tumko, bekaar unko yaad karta hai.