
HAMARI KISMAT
DHOKHA DETI HAI
Wo din thi mubarakbadi ki jab jaane
mann mere paheloo mein thi
Thi badi khushi is dulhe ko uski dulhan
uske baahon mein thi
Hamko maut ka andaaz na tha ham
chutkiyan lete aur hanste gaate rahe
Samay bhi chalta raha aur ham dono bhi
befikar chalte rahe
Aaj mere dil ko tadpaane lagi hai judai
aur intzaari unki
Hazaron sunhare yaaden aati hain pyari
pyari baaten unki
Hamne isq kiya tha to ab kuchh wasool
to adda karenge
Unko yaad karte rahenge ya punar milan
ki koshish karenge
Tadveer se kahan aur kab kismet banayi
jaati hai is jahan mein
Yeh maan lo ki hamari kismet hi dhokha
deti hai hamko is jahan mein.