

GHAR ZAMEEN NARAK
BAN GAYI HAI
Unka chehara chaand tha aur
aankhen sitare thi
Mera sara zameen phoolon ki swarg
ban gayi thi
Jis din se mujhko unse mohabbat
ho gayi thi
Meri yeh duniya badi hi khoobsurat
ho gayi thi
Unse milne ke baad roz unki pooja
karta raha
Meri chahat unki chahat ho yeh dua
mangta raha
Pyar mila jeewan safal hua yeh
jindgi jannat hua
Unki har ek adaa se mera jeewan
safar swarg hua
Bijli giri aur wo chali gayi mera
unka saath chhoota
Kewal sunahare yaden rah gayi
unka haanth chhoota
Kai dino se unko dekha nahi par koi
fark nahi padta hai
Unki har ek jhalak dekhta hoon jab
bhi subah hoti hai
Kahta rahta hoon ki chale aawo ek
muddat ho gayi hai
Meri yeh duniya badi badsurat aur
khamosh ho gayi hai
Unke chand si tasveer ko apne
seene se laga ke rakha hai
Meri sari ghar zameen kaanton
jaysi ek narak ban gayi hai.