

Hamein Chor Piya Kyun Us Desh
Gaye
Hamein Chor Piya kyun us Desh Gaye
jahaan se laut ke aana bhool gaye
Kya Us desh ki rounak intni achhi hai ki wo
waapas aanaa bhool gaye
Ham rote rote kitne barsaat bitaye mere
kitne sundar sundar raat gaye
Ujade hue mere iss ghar mein ab ham deep
bhi janana bhool gaye
Kitne jatan se preet lagaayee thi apni
duniya ek swarg banaayee thi
Ab kewal preet lagana yaad raha kyun ham
preet nibhana bhool gaye
Murjha gayi hain honthon ki kaliyan ham to
hasna hasaana bhool gaye
Jab ham aankh se ojhal ho jatey the wo sau
sau aansoo bahaatey the
Ab ham sau sau aansoo rotey hain par wo
mukh dikhlana bhool gaye
Hamein Chor Piya kyun us Desh Gaye
jahaan se laut ke aana bhool gaye