

APNE YAADON KO YAHIN
RAHNE DO
Meri mehbooba jaate jaate mujhko ek keemati
nishaani de gayi
Apne sari umar bhar doharaane wali ek keemati
kahani de gayi
Unse hamne apne jeewan mein bahut paya aur
bahut seekha tha
Main unko kuchh bhi nahin de saka mera bahut
foota naseeb tha
Khushi itni di thi ki mere tann mann mein bhi
nahin sama sakey
Par ab jo gham mila hai us dard ko main kabh i na
chhupa sakey
Toofaan chali, bijli giri, bhukamp agaye aur
sammundar bhi ro pada
Koi kasti nahin koi sahara nahin mujhe tanhaai
mein rahna pada
Ab main unke pyaar ka pyaasaa hoon apne inn
aankhon mein asq liye
Un asqon ko paani na samajh Lakhan wo nahin
hain peene ke liye
Kabhi na kabhi jannat se meri chaand utregi ek
pyaar ka jaam lekar
Subah ho ya shaam ho bas wo aajaaye ek
khoobsurat paygaam lekar
Mera naam lekar pukaar de hamko mera pyaar
phir jinda ho jaaye
Jara sa muskura kar mera haal poochhe to ye dil
behaal ho jaaye
Apne yaadon ke madhur sangeet hamaare saath
rahne do jara aur
Iss se hamara kaam ho jaaye tumhara naam bhi
ho hara bhara aur
Iss toote dil ke armaano ko na bujhawo ye jalte
hain to inhen jalne do
Kya pata kahan jindagi ki shaam ho apne yaadon
ko yahin rahne do.