

Madhur Yaaden Chhupi
Hai Seene Mein
Phool kabhi khushi ke khilte the par aaj wo dard
ban gaye hain
Chaahe kayse bhi ho yeh zakham wo kuchh roz
mein bhar jaate hain
Mere is viraan duniya mein ab koi nahin aur ham
akele hain
Is soonsaan dariche mein sar jhukaye chupchaap
rahlete hain
Aman chain ki yeh duniya thi jab mere mehbooba
ka saath tha
Hamara ghar aangan pyaar ki gali thi koi bhi
uljhan nahin tha
Kathin raaste sab aasaan ho jaate the unke ek hi
ishaare par
Jeewan ke is bag mein phool khilte the unke
muskurahat par
Bhichhad gayi hai jeewan saathi pata nahin
kidhar jaate hain
Phool kabhi khushi ke khilte hain kabhi ye dard
ban jaate hain
Mere zakham itne gahare ho gaye ki bharne ka
naam nahin hai
Lakhan ko jeena hai Saroj ke liye chaahe koi
khushi nahin hai
Ek wo bhi din the ek yeh bhi jamaanaa hai sahan
nahin hota hai
Unke madhur yaadon ko seene mein chhupa ke ab
Lakhan jitaa hai.