

SABOORI KARLO
Hamne pichhle do warshon se unke pyaar mein
maatam kiya
Ab samay aagaya ki samhal jaawoon iss dil ko
samjhaa diya
Wo chali gayi toh ab malaal kya jo gujar gaya so
gujar gaya
Unko yaad karke dil ko kya dukhana jo ho gaya so
ho gaya
Koi aata hai koi jaataa hai yahi dastoor sada se
chalta hai
Na unka kusoor hai na meri gila hai ab hamare
raaste alag hai
Ab kismet par kafa hona ya unko bewafa kahena
theek nahi
Jo gujar gaya so gujar gaya honi ko yaad kar ke
ronaa nahi
Yakeen karo yeh duniya itni buri nahi gar sahne ki
shakti ho
Jo chalaa gaya wo waapas nahi aayega chaahe
kuchh bhi ho
Yahi yahaan ka dastoor hai jo jaataa hai wo aataa
nahin hai
Jo yahin rah gaya uska ab ronaa dhonaa achchaa
nahin hai
Saboori karlo Lakhan teri Saroj swarag ki niwaasi
ho gayi hai
Aaj nahin toh kal tumhari bhi wahi haal hogi jo
sab ki hoti hai.