

MERE LIYE YAHI RAASTA HAI
Unko chaha, unka haanth maanga, unko paya
to ye jeewan safal ho gai thi
Jab mujhe unse mohabbat ho gai thi to meri
duniya khoobsurat ho gai thi
Unke aane se meri duniya hi badal gai thi
main jannat mein aa gaya tha
Unka chaand sa chehara sitaron si aankhen
hamko diwana bana diya tha
Mere jeewan mein unke aajane se yeh sari
sar jameen swarg ban gai thi
Unke ruksat hone se mera yeh sara jeewan
ek viraani registan ho gai thi
Do varshon se unko dekha nahi unki tasveer
seene se laga ke rakha tha
Ab wo bhi sukoon nahi deti dil karta hai ki ab
wo ho jaaye jo pahele tha
Sochta hoon bahut kuchh par hota nahi hai jo
ab mera ye dil chahata hai
Wo aaye ya na aaye par ham to jiye jaayenge
ab mere liye yahi raasta hai
Ghayal Lakhan ab apne Saroj ko milne ke liye
taras raha hai yahan
Jalim honi ne unko uthaa le gayi aur na jaane
chhupa rakha hai kahan?