
Yehi Meri Takdeer Hai
Meri yeh jindagi ab kisi ki jaageer nahin hai
Yeh andheri kothariyan ab meri takdeer hai
Hamko na jaane ab kyun sataaya jaata hai
Kyun in haanthon mein ab lakeer nahin hai
Yeh jindagi ek haseen khwaab ban gayi hai
Jis mein ab jeene ki koi chaahat nahin hai
Khushi khud hi gham mein badal jaati hai
Muskuraane ki aadat bhi ab chali gayi hai.
DUKH AUR SUKH
Apne gujri huyi wo jindagi ko ab tu yaad na
kar
Takdeer mein jo likha tha uski ab fariyaad na
kar
Jo hona tha wo ho gaya tu ab kal ka fikar na
kar
Jo hoga so hoga ab aaj ki hansi barbaad na
kar
Yaad rahe ki huns marte samay bhi gaataa
hai
Magar mor bechaara naachte waqt bhi rota
hai
Bas yahi hamaare is jindagi ka fanda hai
yaaro
Kabhi koi hansta raheta hai aur kabhi koi rota
hai
Dukhse bhari raat mein neend nahin aati hai
Lekin khushi waali raat mein kaun sotaa hai.