
YEH JINDAGI KYA HAI
Yeh jindagi kya hai jab na koi umang hai na
koi tarang hai,
Log jo bhi kahen par mere liye to yeh kati huyi
patang hai.
Uthta hoon aur phir girta hoon kai baar
sambhal ke ayse,
Koi poochhne wala nahi yahan ki main lutaa
hoon kayse.
Ab na kisi ka sangh hai na kisi se koi pyaar
hai,
Meri jindagi jo bhi hai wo mere takdeer ki
dhang hai.
Lag ke gale se kis ke ab main rowoon apna koi
nahi hai,
Kismat mein yahi likha tha to ab doosara
chaara nahin hai.
Ab chahe doli uthe ya arthi uthe koi farq
nahin hai,
Aysi saja mujhko mili hai ki dard sare ang
mein hai.
Apne sapno ke us Devi ko ab kya karoon main
arpan?
Is chaman mein nahi hai chhaayaa foot gaya
hai darpan.
Ab yahi mera roop hai aur yahi hi mera rang
dhang hai,
Log jo bhi kahen par mere liye to yeh kati huyi
patang hai.