
UNKI YAAD MEIN UNKE
75 JANAM DIN PAR
Apne tanhaaiyon mein jeena to seekh liya hai
hamne,
Par ab lagta hai hum unke bina nahin rah
paayenge.
Unki judaai aur doori se ab yahi seekh liya hai
hamne,
Laazim hai ki unke pyaar ke bina ham jee na
paayenge.
Ab mere jindagi ke kai sawalaat badal gaye
hain,
Waqt ke jhonkon se mere halaat badal gaye
hain.
Lagta hai ki main to wahi hoon jo unke saath
tha,
Bas mere liye sabhi jeene ke rang badal gaye
hain.
Ab chaahe laakh khushiyan aayen par
andhere se gujarna padta hai,
Har din suraj nikalta to hai par usko shaam
ko doobna hi padta hai.
In raahon mein jo kaante bichhe hain wo
chubhan sahnaa padta hai,
Jo madhur yaadon ko liye hain un jakhmon
ko bhi bharna padta hai.
Jab se bichhde hain unse yeh jindagi ab ek
sajaa si lagti hai,
Ab saans bhi lete hain to lagta hai wo mujh se
khafaa lagti hai.
Ab na koi ummeed bachi hai na hi is dil ko koi
chain milti hai,
Ab to meri yeh jindagi bhi mujhko badi bewafa
si lagne lagi hai.
Ek ajeeb tarkeeb seekh liya hai ab dil hi dil
mein unse pyaar karte hain,
Ham bhi apne mohabbat mein apne dillo jaan
ko un par nisaar karte hain.
Kisi se bhi ab nigahen milaana mere dil par ek
ajeeb se chot karte hain,
Jayse main koi bahut bada gunah karta hoon
aur sada unke gunahgaar hote hain.
Aajkal jab bhi main apne dil ki baat 77ura b
hoon to haar jaata hoon,
Unka pyaar kahan se paawoon is baat ko
samajh nahin paata hoon.
Jaan dene ki baat chhoRo ab apne jindagi ko
bhi jaan na paata hoon,
Har taraf unki yaaden chhupi hain main unko
bhool na paata hoon.
Na jaane kis liye main apne chaahat par itna
yakeen karta hoon,
Unke hi madhur yaadon ke samundar mein
doob kar main sukoon paata hoon.
Kabhi kabhi apne inn banawati khushiyon ke
chaah mein hans bhi leta hoon,
Fir kabhi kabhi apne dukhon ke daarun
dariye mein bah kar 78ura b leta hoon.
Ab sab ajeeb silsila hai mere jindagi ka fir bhi
samajh leta hoon,
Unke pyaar par bharosa hai isliye unpar hi
barosa kar leta hoon.
Unse kahaan koi gila hai mujhko to meri
kismet ne dhokha diya hai,
Unka punar milan mere naseeb mein nahin ab
yahi mera silsila hai.
Ab main kayse apne hak mein koi duwa
maangoon yeh maan liya hai,
Jo doobna chahta hoon to wo bhi ho nahi
sakta yeh bhi maan liya hai.
Ab hamko fursat hi kahan hai ki main apne
ghar se mandir ki orr jaawoon,
Jo ghar ko unhon ne mandir banaya tha us
makaan ko kahan se laawoon.
Khwaahisen to bahut baaki hain par unse
purna milan ki jo aas lagi hai,
Shamshaan jaane tak to sabar karma hai
chahe dil mein kitna aag lagi hai.
Is jindagi ko bhi kya jeena kahte hain jo sada
ghamon se bhari rahti hai,
Din raat tanhaai mein jeeta hoon khushiya to
mere kareeb hi nahi aati hai.
Jeewan bhar ke tadap ka jahar pee liya hai ab
samay ki chakr chalti hai,
Kya karoon ab jab ye jaan bhi kambakht is
tann se nahi nikalti hai.
Kai dost kahte hain ki bhool jaawo apne sabhi
beete huye kal ko,
Apne naye dil mein basa lo ab apne aane wale
kuchh sunahare kal ko.
Hanso aur hansaawo sab ko firse fikr matt
karo koi bhi pal ko,
Jis din tumhari maiyat uthegi tum paajaawoge
apne sabhi hal ko.
Dhire dhire teri bhi umar kat hi jaayegi 79ura
b ab sabar karle Lakhan,
Jindagi ajeeb ho jaati hai jab yaadon ki kitaab
ban jaati hai Hamsukhan.
Jab bhi unki yaad sataye unke achhe dinon ki
yaad karle Lakhan,
Is tarah teri bhi ye jindagi unke sahare kat
jayegi hamsukhan.
Ek khoobsurat haseena thi jo hamse pyaar to
bepanah kar ke gai,
Par ab na jaane fir kyun meri yeh jindagi ko
ekdam tanha kar gai.
Ek chaahat bachi hai unke madur pyaar mein
fanaa ho jaane ki,
Par gila yeh hai ki wo hamko apne saath jaane
se manaa kar 79ura b.
Ab jab bhi main doobta hoon to samundar ko
bhi dosh deta hoon,
Jab bhi thokaren kha ke girta hoon to patthar
ko dosh deta hoon.
Main bhi bada ajeeb insaan ho gaya ab kuchh
bhi kar nahin paata hoon,
Unse jab mulaakaat nahin ho paati to apne
kismet ko dosh deta hoon.
Pal pal ko tarste rahte the sab din jis sunhare
pal ke liye,
Jab wo pal bhi aaya to 80ura b bas kewal
kuchh pal ke liye.
Sochaa to tha ki main un pal ko rok loonga
har pal ke liye,
Par na to wah pal ruka na hi wo ruki ek bhi
pal ke liye.
Ab hamara yeh bigda naseeb bahut kuchh
badla nazar aata hai,
Bahut door 80ura b unki hi madhur yaadon
ka lakir nazar aata hai.
Ab koi bhi shayari likhna aur kitaab ko
padhna nahi aata hai,
80ura b kalam aur kitaab mein unka hi
tasveer nazar aata hai.
Ab kis hadd se guzaren aur kitna sahan karen
yeh main nahin jaanta,
Ab kaun si sahi manzil ko kahan dhoondhoon
yeh bhi nahin jaanta.
Unki sabhi madhur yaadon ko liye ab jeer aha
hoon yahi main jaanta hoon,
Kis roj fir kahan unse mulakaat ho jaaye yeh
baat main nahin jaanta hoon.
Jab ham isq karte hain to ek dooje ki aankhon
ki baaton ko samajh lete hain,
Ab to unse apne sapne mein milan ko ek prem
ka milan samajh lete hain.
Maan liya tha ki is dil ki awaaz ko un dino
ham apna izhaar kahte the,
Jab jhuk jaati thi unki nazren to usko ham
unka ikraar kahte the.
Ab to hamne yeh maan hi liya hai ki sirf pane
ko pyaar nahin kahte hain,
Hamare is neeras jeewan mein sab kuchh
khone ko bhi pyaar kahte hain.
Samjhne waale samajh gaye hai jo na samjhe
wo to anaari hain,
Hamare pyaar mohabbat ko jo na maane who
bh anaari hain.
@
Aaj ka din bahut khaas hai kyunki aaj mere
sanam ka janamdin hai,
81ura b kitna sundar, kitni pyari thi unki
baaten ab wo yahan nahi hai.
Meri yahi dua hai ab 81ura b81h rahen aur
hamesha muskurati rahen,
Ham to kisi tarah jee rahen hain par unke liye
ham ab kya aur kahen.