
IS UJDE HUE BASTI MEIN
Yeh duniya ajeeb hai yahan koi cheez
paripurna nahi hai,
Kahin sukh ki nadia baheti to kahin dukhon
ki dariya hai.
Ham sab apne hi yeh duniya mein sada gum
hi rahte hain,
Kahne ko to bahut kuchh hota hai lekin kahte
nahin hain.
Samay ki aag ke lapat se yahan kawn bach ke
nikala hai,
Yeh waysa shola hai jisme dhuwaa hi dhuwaa
rahta hai.
Is dhuwaa mein ham sab kho kar bhi chalte
rahte hain,
Na hamko apne aap ki khabar rahti na ham
khush hain.
Kya is duniya mein ab pyaar mohabbat kahin
nahin milta hai?
Is liye jiski hamko ummeed hoti hai to wo milti
nahi hai.
Meri duniya to lut gayi hai ab yahan ummeed
nahin hai,
Hakeekat to yahi hai ki in aankhon mein pyar
nahin hai.
Jab bhi unki judai ka khayal aata hai dil pe
chot lagti hai,
Mere ujde hue basti mein ab mukammal koi
cheez nahin hai.
KAHAN CHHUPI HO
SAJNI
Hai meri sajjni tum kahan ja ke chhup gayi
ho,
Pukaar raha hoon main din raat yahan tum
ko.
Bulbul bhi yuun kabhi gul ko pukara nahi
hoga,
Jis dard bhari aawaaz se mainne pukaara
hoga.
Yehi ab mere bechain mohabbat ka andaaz
hai,
Yehi mere dil ka dard bhara aawaaz bachaa
hai.
Yeh aashiq sada tere chaahat ka parwaana
raha,
Main kya karun ab jo ye dil yuun tadapta hi
raha.
Na jaane iska anjaam kya hai par achha lagta
hai,
Bulbul apne gul ko isi tarah ab pukarta rahta
hai.
Apni sab prem kahaani likh dali hai hamne
yahan,
Apni is jindgi ko kar di hai ab tere hawaale
yahan.
Kai afsaano ko likha hai par kitne abhi baaki
hain,
Jab dil mein dard uthti hai to bas tadap lete
hain.
Apni prem kahaani likhne ki aur alfaaz nahin
hai,
Ab bas rangeen mausam mein unki yaad aati
hai.
Logon ke mele hote hain ye dil cheekh uthta
hai,
Kahaan ho tum bas ye dil yahi pukaara karta
hai.
Aakar gale lag jaawo ab akele raha nahi jata
hai,
Koi geet bajta nahi ghazlon mein dard bhara
hai.
Hai meri sajjni tum kahan ja ke chhup gayi
ho,
Pukaar raha hoon main din raat yahan tum
ko.
@
Yeh dil aapse milne ki tamanna leke guzar
jaaye to koi baat nahin,
Mera pyaar agar phirse wahi manjil na paaye
to koi baat nahin,
Aap ke madur yaadon mein umar bita denge
dukh ki koi baat nahin,
Log mere kabr par phool 58ura b chadhaaye
to koi baat nahin,
Lekin aap hamko jannat ke dwaar pe mil
jaana aur koi baat nahin.