
MUJHSE APNE GHOONGHAT MEIN MILA KARO
Aawo to jara aur lafzon ki tarha mujh se mere
kitaabon mein milaa karo,
Rasta bhool gayi ho ya mujhse dar hai to mere
khawabon mein mila karo.
Mere bagiche ke in phoolon ke khushboo ki
taluk zaruri hai abhi bhi mujhko,
Is liye ab unki mehak banke mujhse mere in
khilte gulabon mein mila karo.
Apne talaab ke paani ko chhu kar ab main
tumko mehsoos kar leta hoon,
Tumko yaad kar leta hoon aur kuchh bhoole
huye nagme sun leta hoon.
Ek do jaam pee leta hoon to tumhari bahut
yaad aati hai,
Main bhi hoon ek insaan mujhko bahak jaane
ka bhi dar to rahta hai,
In pokharon mein masti ki tarha mujh ko
mere sharaabon mein mila karo.
Is liye jab bhi waapas aawo to mujhse apne
ghoonghat mein mila karo.
@
Meri aankhon ka ujaala thi tum sanam
tum thi meri jindagi,
Tumhara sahara mila tha to ham karte
the teri bandagi.