
TUJH KO KOI DAR NAHI HAI
Ye kahne main unke majar par gaya, tere bagayr karar na aaye to kya karoon
Unka jawaab mila ki ab tum bhi wahi karo jo tumhare liye main karoon
Sharer naashwaan tha jal gaya par ye amar aatma parmatma ka ho gaya
Is se tumhara kya waasta hai fikr mat karo, jo hona thaw o ho gaya
Insaan hoon insaan hi rahunga, farista kayse banoo tumhari yaad toh aati rahegi
Marte dam tak tumhare madhur yaadon ko liye chalunga aysea hi chalti rahegi
Bahut hi pyar jataney kp baaki hai aajaawo toh le loon balayen tumhari
Na jaana than a sochaa tha ki chale jaane ke baad kewal bachegfi yaad tumhari
Main ne apna sab khajana khoya kuchh na mila, fayda na hua nuksaan mein
Is duniyan mein koi lutf karen ya jafa karen yahi fitrat hai sab insaan mein
Lakhan kya karega yahan akele jab uski bulbul udd gayi hai aasmaan mein
Jamaney se aysa hota aaya hai jaane wala nahin lautata hai is sansaar mein
Chal tub hi udd ja re panchhi tera yeh desh hua begana ab yahan kuchh nahin hai
Santosham param sukham ko maan kar aage badh ja tujh ko koi dar nahin hai