
SAROJ MERI GULAB THI
Mujhe kitni udaasi hui aur unke bichhadne ki sadma bhi sataai hogi
Dil toot gaya aankhon mein aansoo bhi aaye aur maathea pe pasina toh aayi hogi
Mere inn sab dukh dard se kisi ko kya lena job hi gayi wo meri gayi hogi
Jisne bhi dekha tha bilakhna hamea unke bhi kaleje mein peeda toh huyi hogi
Pyar jis din unse hua us din se mere chaman mein phool khill gayi hogi
Jis din unki arthi uthi us din se ghar ke sabhi roshni bujh gayi hogi
Unke gaye kitne din beet gaye lekin unki madhur yaaden ab jaati nahin hai
Mere liye yeh kaysi saja hai iss ko mujhe samjhana koi aasan baat nahin hai
Yeh kamjor dil aur ghamon ke dher phir thapede unke maut ki sata rahi hain
Ab kayse jalawoon wo purani roshni jisko pritam bujha kar chali gai hain
Is matam mein jab bhi unka khayaal ata hai sari baaton ko bhool jata hoon
Kabhi mera bhi kaha maan jaaiye sanam jo kaha tha tumne main maan jata hoon
Aap hain jahan mujh ko bhi wahin hona lajim hai yahi toh pyar ka dastoor hai
Jab Saroj Lakhan ke bagiche ki gulab thi toh Lakhan aaj bhi unhin mein choor hai.