
Ab Ham Samajh Gaye Hain
Mere is biraaney gamkhane mein ab koi bhi chirag nahin jalta hai
Mere sabhi asq palkon pe hi rah jaate ye mera dil hi jaanta hai
Koi mere dil pe haanth rakh kart oh dekhe ki ab mera haal kaysa hai
Who haanth kahan se laawoon jo mere dil se kahe ki wo waysa ka waysa hai
Na jaane baat kya haik yon laachar hoon unhen jis din se khoya hai
Na hi hansney ki koi chah rahi hai na ham ne dil khol ke roya hai
Unki yaad mein jeena unhin par jaan de dena yahi meri tamanna hai
Ham ko kuchh kaam aata hai toh wah unke naam sey aata yahi maana hai
Unke meethe pyar ke baaton ne mere jeewan ke raaste ko badal diye thea
Unke madbhari baaton ka lutf uthane tak wo rooth ke chal diye thea
Lakhan tu ab kahta hai kisi ke kaam na aaye wo aadmi kya hai
Saroj tujh se kah gai jo apni hi fikr mein gujare wo jindgi kya hai
Ab phir kahan wo aayenge kyonki wo koi waada kare ke nahin gaye hain
Aaj ke din aur unn dino mein bahut fark hai ab ham samajh gaye hain.