
Himmat Na Harega Lakhan
Main kayse bhool sakta hoon un ke rukhsat ke wo manhoos waqt ko
Jis se mere jindgi mein ek tufaan aaya aur udda le gaya ham ko
Us din se roj jeeta hoon aur roj marta hoon unki rah dekhta hoon
Aysi mushkil mein main jeeta hoon ab na aage badhta hoon na peechhe jaata hoon
Wo ab mukhatib bhi hain kareeb bhi hain lekin koi baaten nahin hoti hai
Unko dekhe phir unse baaten karen par ham se yeh bhi na hoti hai
Har roj koi afsaana chhedta hoon jab bhi tanhai ki gham satati hai
Na din dhalta hai na raat katati hai jab judai ki sadma satati hai
Yeh dil bechara ab kisi se bhi apna mann bahala nahin sakta hai
Jab chaand nikalta hai aur sitare timtimatey hain mann nahin lagta hai
Un dino ki madhur yaad le kar jee rahe hain himmat na harega Lakhan
Khak mein mil kar bhi apne Saroj ko hi yaad karta rahega Lakhan.