
KHOON HAIN PAANI HAIN YA AANSOO HAIN
Ham apne bebasi pe royen to kya karen dildaar mera juda ho gaya
Hoti nahin hai subah na aati hai neend mujhko main unko pukarta rah gaya
Ab saari duniyan mein main akele baythe hain na yahan koi na wahan koi hai
Haay unko kho ke baythe hain ab na toh unka saaya na tasveer koi hai
Mere saare jeewan mein waqt kewal do hi gujre thea bade kathin sanam
Ek tha aap kea ane se pahele aur ek hai tere jaane ke baad sanam
Is dil par saykadon chot tere bichhadne ke lagte hain aur lagte rahenge
Ab na koi marham na patti dene wala hai magar jeete hain jeete hi rahenge
Rub se dua hai kahin se koi sahara bhej de jo mere liye dawa ban jaaye
Yeh dil toh ab ek mareej hai jiska ilaaz kisi ke mann ko nahi bhaaye
Hazaar dukh dard chhipe hain is toote dil me un sab ko kayse batayen Lakhan
Kahan se laawoon waysa jigar jo kar sake in sabhi jakhmon ka sahan
Mere dil pe job hi gujri hai uska peeda kewal main hi pahchaanta hoon
Yeh chhalakte aansoo mere khoon hain ya paani hain ab main inko bhi na pahchaanta hoon.